SEO Tips In Hindi – On Page SEO In Hindi – On Page SEO Steps

SEO Tips In Hindi 

on page SEO ka Hi ek part hai jiska arth hota hai ki apne website ki post ko otimize karke apane post ko Search Engine mein frist rank karaana. aaj ham baat karate hain SEO tips in hindi.ke bare me. ye jo on Page SEO tips hain jinse ham apane kisee bhee Page ki ranking ko google mein achchha kar sakate hain to vo kya points hain. darasal SEO se related jo sabase badi problam hai aap kuchh bhee sarch karoge google pe to 100 mein se 99 jo bhee aapako content milega vo phrod hai usaka ranking se koi lena dena nahi hai. to isase jo sabase badi problam aati hai ham kuchh bhee search karate google par jaakar hee dekhate hain aur vahaan pe jitani bhee techniks hain vo pojitiv effect to nahin karati ulta negetiv effects hamaari ranking ka kar deti hain aur is tareeke se ham bahut haard work karate hain phir bhee kaheen nahin pahunch paate. to aaj ham inhee on Page SEO tips ke baare mein baat karenge ki vo kya-kya points hain jinako dhyaan mein rakhakar ham google mein achchhi ranking kar sakate hain.

1. Post Title 

Post title kisi bhi page ka aham hissa hota hai. jaise newspaper main agar new ki headline hi galat ho to koi news pe dhyan nahi deta. Yahan ek baat aur dhyan rakhne jaisi hai, title kabhi bhi misleading nahi hona chahiye. Title wahi ho jo aapne content banaya hai.

Udaharan ke liye agar aap kisi newspaper main news padh rahe hain aur new ka title actual new se alag hai, to aap kabhi bhi aise newspaper ko pasand nahi karenge. baat bhi sahi hai, aapne new isiliye padhi kyoki jo headline thi usmen aap utsuk the. par actual new kuch aur hi nikli. Aur app udas ho jate ho.

Theek aise hi users hamari sites pe title se andaja lagate hain ki kya yahi wo info hai jise wo dhoondh rahe hain. Aur agar page content main wahi info na mile to wo yad rakhte hain ki ye website pagal banati hai aur actual info nahi dalti.

2. Post Permalink

Jab hum koi article likhte hain to jo uski link hoti hai use permalink kahte hain. Permalinks ka SEO me important role hota hai. Jis Post ki permalink me important keywords honge us post ke search results me upper aane ke chances jyada honge.

3. Post Meta Tag Description

Past main meta tag ranking main help karti thi par ab google search ranking main meta tag ka koi role nahi hota. But hamen phir bhi achchi meta description dalni chahiye, kyoki jab aapki site search result main aati hai to log meta description padhte hain. Aud jis website ka meta tag description achcha hota hai uspe click karne ke chances jyada hote hain.

Laxmanmedia

4. Headings and Sub-headings in Post

Aajkal Headings and sub-headings se google search ranking main koi farak nahi aata, isiliye headings pe jyada dhyan dene ki jaroorat nahi hai. Headling pe bus utna dhyan den jitna kisi article main normally heading ki jaroorat ho.

5. Use Keywords in Content

Ye ek aisa point hai jo search engine ranking ko sabse jyada impact karta hai. Aajkal google Title aur headings se jyada content pe dhyan deta hai. Isiliye aap jin bhi keywords ke liye rank karne ki kosis kar rahe hon unhen aapko content main jaroor dalna chahiye.

Khaskar ki long tail keywords ko. Agar aapki post main long tail keywords hain to aapko short tail keywords dalne ki jaroorat nahi hai. Google khud se short tail keywords ke liye rank kar leti hai content ke hisab se.

6. Responsive Design

Responsive design aajkal mobile pe ranking karne ke liye bahut jaroori hai. Halanki desktop pe ranking ka isse koi lena dena nahi hai par ab mobile traffic din pe din badhta ja raha hai. Aise main ye jaroori hai ki aap chahe desktop pe rank karen ya nahi par mobile pe rank karen.

Isiliye apni site ki design ko mobile screen ke hisab se banaye taki mobile users ko aapki site use karne main koi dikkat na ho. Mobile pe ranking karne ke liye responsive design hona bahut jaroori hai.

7. Internal Links 

Ek bahut important point hai jo on page SEO ka hai jo ki search engine me ranking men bahut help karta hai wo hai internal links. To internal links kya hoti hai dosto jaise apne apni website par do post banaayi or dono post kuch related topics par hain  to aap ek post me dusari post ki link de dete ho ki is chij ki jankari ke liye yahan par check karen or uski details ki link vahan par de di. To ek user agar us post ko padh rha hai to padhte padhte usko apki dusri post ki link bhi usi me mil jaegi. To ye internal linkimg matalab apni website ke pages ko ek dusre se link karna. Ye bahut Help karta hai or inmen sbse jaruri hai ki jo link aap karte ho to jo text likhte ho link men ek to link hoti hai or jo text daalte ho wo keyword hona chahiye to jo bhi keyword aap daaloge to apki post us keyword ke liye rank karne lagegi. to aap ek hi post ko apni website pe alag-alag pages men jakar internal link bana skte ho alag-alag text ke sath. To jo main keywords hain unke liye apki post renk karne lagegi.

Internal Linkimg online page SEO ka sabse important points hain or ye ranking men sabse jyada helps karta hai. Alag title ke bad koi point hai to wo internal linking hai jo ki google ko ye kisi bhi serach engine ko help karta hai page ko understand karne me or wo uski help se uske rank karte hain.

8. Image Optimization

Image optimization ek process hoti hai jisse hum apne blog post ki image ko search engine friendly banate hain or hum images ko search friendly image optimization karke hi bna skte hain. aap jis bhi topic par apni post likh rahe hai usi se milti julti image apko apni post me use karna hai jisse user ko image dekhne se hi post ke topic ka pata chal jaye.

Rename image – Ye galti to har new blogger karta hi hai jabtak use is bat ka pata nhi chalta jabtak apko apne image ko apne focus keyword se rename karna hai jaise ki meri post ka tittle hai seo image optimization to me image ko bhi isi name se rename karunga.

Reduce Size- apko apne blog post ki speed ko behatar banane ke liye usme add kiye gye image ki size ko reduce karna hoga agar aapke image ki size 1mb hai to yaha kafi jyada hai apko apne image ki size kam kam se 100kb rakhna hai.

9. Hidden Content 

Kuch log kya karte hain ki hidden content bna dete hain means usko display hide kar dete hain or usmen acche-acche keywords bahut saare keywords daal dete hain to wo sochte hain ki ab un keywords ke liye hum rank krenge. but ab search engine inhen easily identify kar lete hain or agar inhen aisa hidden content milta hai to ulta us page ki ranking ko Mainas(-) kar dete hain isliye is tarah ki Nagative chijen kabhi nahi karni chahiye. Aaj ki date me search engine itne advance hain ki aap kuch bhi nagative karte hain to wo ek second me use identify kar lete hain.

10. Site Speed

Site speeds bhi ranking me thoda help karta hai agar apki website bahut slow hain 15-20 second men load hoti hai to koi bhi user uspe jana pasand nahi karega. To wahi search engine bolte hain ki agar 5 second tak apki site load hoti hai to firto wo thik hai agar 3 second tak ho jaye to wo bahut acchi hai lekin 5-7 uske bad agar load hoti hai to fir site ki ranking me Negative points hota hai.

11. Post Length

Ek or point hota hai jo online ap dekhte hain wo bahut hi misleading hai post length. Post length ka ranking se koi lena dena nahi hai. ab isko samjhne jaisi chij hai ki agar jis topic pe aap content likh rhe ho jo apka topic hai uske liye jitna content enough hai to wo bahut hai. ab aisa nahi hai ki aap jabrjasti se post ko lamba kar rhe ho ek hi line ko char-char bar likh rhe ho ghuma-firakar likh rhe ho to usse ranking ka koi lena-dena nhi hai. agar char line men apka content complete ho rha hai ya topics complete ho rha hai to theek hai or agar char hajar line men poora ho rha hai to wo alag chij hai. jaisi jarurat ho uske hisab se post ki length banani chahiye n ki unnecessary ye kosis karo ki or thoda lamba kar den isko to wo useless hai.

12. Bounce Rate

Ek last points hain jo on page SEO me thoda help karta hai wo hain Bounce Rate. To Bounce rate kya hota hai jaise ki google men search kiya or google men apki website ki post aai or inhone click kiya or apki site par aa gye. ab wahan se unhone back batan dabaya or wapas search result page par chale gye. To search engine se apki website se aye or apki website se back to search engine chale gye to ye hota hai bounce rate. Ye bounce rate jyada nhi hona chahiye isse negetivity milti hai kyuki ye sochte ki search engine se user apki website pe aya or back search engine par chla gya matlab apki website pe use kuch useful content nhi mila agar milta to use padhta or apki website par page open karta. Bounce Rate kar hona chahiyeor iske liye tarika bhi wahi hai ki jo aap jitna accha content likhoge to bounce rate apne aap kam hota jaega.



Post a Comment

0 Comments

Language Translate